अभिलाषा@ DESIRE.....

Always without desire we must be found, If its deep mystery we would sound; But if desire always within us be, Its outer fringe is all that we shall see.

Tuesday, August 10, 2010

jindgi ke faisley

her insaa k jindgi may ek pal aisa aata hai
jub osy do rah per laa ker khada ker deti hai
wo samjh nhi pata,jaan nhi pata,dekh nhi sakta
wo bebas,lachaar,ho jata hai
kya yahi wo pal hota hai jisay kahte hai
"" antt""
antt ek pyari ,hamesha khus rahne waali jindgi ka
kyunki jub ek insaan ko do baato say ek chun na padta hai
to wah ek ko chunta hai jo sub k hit may ho,
oske apno ko bhali lage ,lekin yaha wo zaroor khoota hai
kuch apna sa jissay wo khona nhi chahta tha
or yahi mauka osay bana deta hai vaastav may insaan
kyunki yahi to ferk hai ek insaan may or jaanvar may

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home